Saturday 30 June 2012

matlabi dunia





bhanaou se pare dunia

kahte hai halat insaan ko sab kuchh sikha dete h, lekin mere saath aisa nahi h.har bar mai logo k saath accha karti ye samajh kr ki vah bahut accha, saccha hai aur har bar mai dhokha khati hu. kabhi kabhi to lagta h kabhi kisi ki help hi nahi karni chahiye ya kahu ki kisi se jyada matlab nahi rakhna chahiye.jaisa ki is matlabi dunia m matlabi aur namm k riste hote h.aao jitna kisi ko accha samjhoge wo utna hi kharab hota h. mera anubhav to yahi kahta h. aaj ki dunia m koi accha nahi hota balki har koi aapki acchai aur sidhepan ka fayeda uthata h. mai ye nahi kah rahi ki koi accha nahi hota lekin ab tak maine jiske\i help ki ya jise saccha samjha wahi sabse bada farebi nikla. insaaniyat, bhavnaye sab kahtam ho chuka h ya kahe apne aaram ya khusio k liye ye jhoothe log ise badal dete h.filhal ab tak bahut hi badnasib rahi ki jise apna saccha sathi samjha mauka padne par usne mere hi pith pr chhur a ghopa.abhi maine nahi samjha to sayad kabhi nahi samjh paoungi. aaj k baad sirf utna hi bharosa rakhna h jitna mere liye jauri h, ek baat k liye god ko thanks bhi kahna chaungi ki usne meri life m kuchh aise logo ko bhi samil kiya jinhone har kadam par mera sathh diya fir bhi taklif hoti h jiske aap aansu poochte ho wahi aapki takli ka karan bane to kaisa lagega. khair sayad kismat ko yahi manjur h.fir bhi ab kisi bahri k aansu nahi pochh sakti .........